Dil Tha Khilona
Home » Sad Love Shayari » Dil Tha Khilona February 11, 2010 Sad Love Shayari
aik din tanhai main bethay
mujh say kisi nay pooch lia tha
chup chup kion tum rehtay ho
kuch ukhray say kuch badlay say
kuch uljhay uljhay lagtay ho
itnay sawal hue to main nay
bas aik hath utha ker apna
dil per rakha aur ye bola
aur to koi baat nahi hai
koi apna roth gya ha
dil tha khilona toot gya ha…..




