Ajnabi thay Ajnabi hein

Home » Romantic Shayari » Ajnabi thay Ajnabi hein December 20, 2009 Romantic Shayari

Main usey kaisey akela chor don is rah mein
Saath jo chalta raha majburiyon kay baad bhii

Bann kay khushboo rach gaya hay yon mere ehsas mein
Duur ho paya nahin woh duuriyon kay baad bhii

Rafta rafta usko bhii ye duniya raas aa gaye
Muskura kay wo mila hay ranjishon kay baad bhii

Faaslay kab kam huey hain rabton kay baad bhii
“AJNABI” thay “AJNABI” hain muhabbaton k baad bhii…..

Random Posts

    Tags:

    Leave a Reply