Yeh Kaisa Pyaar HAi

Home » Love Stories » Yeh Kaisa Pyaar HAi January 20, 2010 Love Stories

SAMI SAMi beta kaha hoo kab say is larki ko awaazaye day rahi hoo likin pata nahi kaha gai… jaha kam hota hay bus wahi nahi hoti hay yeh awaaz thee begum naaz ki or woh apni beti SAMI-E-Zehra ko awaaz day rahi thee….. sami humary mahlaye ki jaan thee
sami or may bohat achi saheliya thee or humari dosti meri amma ki waja say hue thee ….meri amma ka mahlay may bohat acha milna julna tha unhonay batya k samanay walay ghar may naye log shift hue hay un ki beti tumari age ki hay …may bhi apni life say takreeban ukta gai thee 2 bhai thay joo apni apni studies may busy thay or may humesha ek bhan ko tarastee thee ALLAH nay aj woh dua sun lee or sami ki shakal may ek bhan day dee
ek din may school say aye too ammi nay bataya k sami ka ristha pakka hogaya hay …mujhe ko bohat khushi hue kue k baat thee hee khushi kee may foran sami say milnay gai.. us nay batya ASAD us ka cousin hay joo USA may hota hay abhi abhi apni MBA ki degree kahtam kar k pakistan aya hay ..ammi nay kabhi batya tha k jab may choti thee too humara ristha hua tha likin ab is ko amali shakal dee gai hay aksar humdonoo phone par baat karthay thay humari family nay atraaz nahi kiya..so ab baroon nay faisla kiya k shadi hojanii chaye
aj kal sami bohat khush rahnay lagi thee kue k shadi may 1 month rahay gaya tha or ASAD apnay job k kam say kuch dinoo k liye wapis USA chala gaya tha or yah tayyariya bharpur thee ek raat hum log sab dinner kar rahay thay k sami k ghar par ambulance akar rukhi may jaldi say bhag kar gai maloom hua k sami behosh hogai hay bas jald az jald us ko hospital lay kar jah rahay thay doctors nay batya k un ko kohi shocked laga hay manay aunty say maloom kiya too un honay batya k ASAD wapis agaya hay likin apni wife k sath mujhe ko thori dar tak maloom nahi hua k aunty ek lahme may kya baat kah gai or mera bhi roo roo kar bura haal tha is par amma nay kaha tum himmat rakhoo warna sami ko kaun himmat daye ga aj 4 din hogaye thay sami discharge ho kar ghar jah rahi thee sunay may aya tha sami nay sab ko mana kardiya k kohi ASAD say kuch nahi kahye ga usnay joo kiya woh us ki life hay is tarha kuch saal guzar gai sunaye may aya k asad ek bacahy ka baap ban gaya
meri bhi shadi hogai may bhi apnay susral or miya may busy hogai bohat logoon nay sami ki shadi karwani chaye margar us nay nahi ki ..balkay aab too us k baloon may safaid baal bhi agaye thay..
ek din may apni ammi k ghar aye hue thee too nukar nay akar batya k kohi aap say milna chata hay manay socha mujhe say kaun milna chata hay kahi kohi salesperson nahi hoo may gate say bhar aye too dekha samanay ASAD tha waisai jaisay last time manay dekha tha us nay mujhe say iltaja ki kay mera ek khat sami ko day doo manay bohat mana kiya likin may us k samany har gai or bahri himmat kay say us ko yeh letter day diya abhi sami nay kaht parhna shuroo ki too woh phoot phoot kar rohnay lagi or khat mujhe ko diya k tum bhi paroo
meri apni sami
may janta hoo may tumara sazaawar hoo likin may kasam kahta hoon k manay sirf tum say payar kiya hay or marnay k baad bhi karoo ga humari mohabohat ki sitamgari dekhoo tumnay aj tak mujhe say shikwa bhi nahi kiya yahi meray payar ki jeet hay or aj may tum ko batna chata hoon humari shadi say 6 month phelay mera ek accident hua tha may bilkul perfect tha but meri inside body bohat damage hue thee but kuch arsay may recovery hogaya tha likin kuch test baki thay jab may shadi say phelay USA wapis gaya tha too soch woh test complete karwaloo meray saray test perfect thay DOCTORS nay batya k may shadi shuda zingadi achi guazar sakta hoo likin baap or tum ko maa nahi bana sakta hoo may tum say boaht payar kartha tha may tum ko is naymat say mahroom nahi rakhana chata tha or BILAL mera beta nahi hay meray aziz dost ka beta hay woh ek accident may apni jaan khoo bhata jab may wapis anay wala tha NIDA joo meri dost ki wife thee us nay batya k woh expected hay too manay socha may us bachay ko apna naam doo ga or manay us say shadi karlee sami aj tak ASAD puri tarha tumara hay mujhe ko nahi maloom tha tum sahdi nahi karoo gee warna hum sath hi life guzar laty ab may humesha k liye jah raha hoon kabhi na wapis anay k liye likin tumara payar meri amant hay joo kabhi kahnayat ka shikar na hoga
sirf tumara apna ASAD
achanak meray kanoon may sami ki awaaz takari ASAD YEH KAISA PAYAR HAY ………joo tumany kiya …yaha joo manay kiya ..

Related Love Stuff

Tags: , , , , ,

Comments (1)

 

  1. amlir says:

    may janta hoo may tumara sazaawar hoo likin may kasam kahta hoon k manay sirf tum say payar kiya hay or marnay k baad bhi karoo ga humari mohabohat ki sitamgari dekhoo tumnay aj tak mujhe say shikwa bhi nahi kiya yahi meray payar ki jeet hay or aj may tum ko batna chata hoon humari shadi say 6 month phelay mera ek accident hua tha may bilkul perfect tha but meri inside body bohat damage hue thee but kuch arsay may recovery hogaya tha likin kuch test baki thay jab may shadi say phelay USA wapis gaya tha too soch woh test complete karwaloo meray saray test perfect thay DOCTORS nay batya k may shadi shuda zingadi achi guazar sakta hoo likin baap or tum ko maa nahi bana sakta hoo may tum say boaht payar kartha tha may tum ko is naymat say mahroom nahi rakhana chata tha or BILAL mera beta nahi hay meray aziz dost ka beta hay woh ek accident may apni jaan khoo bhata jab may wapis anay wala tha NIDA joo meri dost ki wife thee us nay batya k woh expected hay too manay socha may us bachay ko apna naam doo ga or manay us say shadi karlee sami aj tak ASAD puri tarha tumara hay mujhe ko nahi maloom tha tum sahdi nahi ka

Leave a Reply