Sachi Mohabbat

Home » Love Stories » Sachi Mohabbat July 23, 2010 Love Stories

Farhan ke aur mere love marriage thee. Meray ghar walay khulay dil damagh kay maalik thay aur unho nay Farhan ke aur mere shaadi pay koe aetaraaz nahi keya thaa. Jubkay Farhan kay waldaen aur behnu ko hum dono ke shaadi per sakht aetaraz thaa. Un kay ghar walo nay baadilnakhaasta hum dono ke shaadi tu ker de thee leaqin unhu nay mujhay kabih baho nahi qabool keya thaa.

Humari shaadi ko paanch saal honay ko thay leaqin Farhan ke mohabbat main koe kami nahi aaye thee. Khuda nay najanay kyun mujhay ulaad ke naemat say nahi nawaza thaa. Es kami nay be Farhan ke meray liyay mohabbat kum nahi ke thee. Yeh humari shaadi ke paanchwi serdiya thee. Her baar ke tarah es baar be raat ke sard shamo ko Farhan ke garm saansain mujhay raat ko garm kerti thee. Un kay baazo ka tang daera ju meray gird hota thaa woh mujhay abhi taak tahafuz ka ehsaas dilata thaa. Shaadi ke pehli raat ke tarah aaj be woh raat ko meray ganay balo pay he sir rakh ker sotay thay.

1 din un ke saalgirah thee. Main apni aadat kay mutaabiq un kay anay say pehlay taza dum honay chali gae. Aaj main nay un ka deya howa woh dress pehna thaa ju unhu nay mujhay thoori daer pehlay he tuhfay kay toor per deya thaa. Main taza dum hu re thee kay mujhay mere nand ke awaz aaye bhabhi! Bhaee bola ray hain! Jaldi baahir aaa jaey. Mujhay herat ka aik jatka laga kay hamesha Farhan khud bedroom aatay thay leaqin aaj behan ko kyun beja. Khair main baahir aaa gae apnay bedroom say tu saath he mujhay Farhan ke awaz aaye. Woh kaeh ray thay kay Mahnoor! Kundi kholo! Main aaya hu! Mujhay haerat howe k bedroom kiss nay lock keya. Es kay saath he Farhan ka maamuzaad humaray bed say utha aur kundi khool de. Us nay mujhay kaha Mahnoor! Tum tu naha chuki hu. Main ghar ja kay naha lu ga. Tum apni bedsheet change ker lena.

Main heraan thee kay yeh kya majra leaqin mujh pay qayamat toat peri jub Farhan nay mujhay kaha kay main nay soacha be nahi thaa kay tum mujh say bewafi ker sakti hu. Main nay unhay lakh kaha leaqin woh mere aik baat sunay ko tayaar nahi thay aur seconds main mujhay talaaq denay ka faesla ker leya. Khuda ke kerni kay ussi waqt mere bari nend ka beta bed kay nichay say nikla aur kaha kay maamu! Mahnoor anti tu washroom thee tu Saboor uncle aur main bed pay laet gay. Mere ball bed kay nichay gir gae thee tu main woh uthanay chal pera. Youn Khuda Khuda ker kay mera ghar totnay say bacha leaqin us kay baad hum dono nay ehlaahda ghar lay leya jaha sirf Farhan, main, humara 1 beta aur sachi mohabbat hai.

Related Love Stuff

Tags: , , ,

Comments (11)

 

  1. hameeda says:

    assalamu ale kum

    ab ham dekhei tere sapne jab-bhi aankh lagi he

    kholun aankhei band rakhun teri hi tasweeren

    diwane tere kitne ham kese – tujhe bat layei

    raat or din teri bate ham khud se kiya karte hei

    tanhai me bheth ke ab to ( aahei ) bhara karte hei

    ho gay ham khud se begane tujh se chahat kar ke

    ab ham ko malum nahi hei kese din ye dhalte

    kese subha aayi he or kese sham dhali he

    nam tera likh -2 kar ham to us ko chuma karte

    kab tum mil ne ao ge ab ye hi duwa ham karte

    wirtten by hameeda ameer

    apnakhyal rakhna

    ALLAH HAFIZ

  2. vicky says:

    good story

  3. SAMEER says:

    mujh aap ki story bhot achi lagi bade nasib wale ho dost jo tom ko tumhara pyar mil geya kbhi aps m saq mat karna or na kbhi alag hona nahi to bhot pachtaoge or jab pyar karte ho to bharosa bhi karo yaar or apni or hamari bhabhi ki bhi hifazat karo allah hafiz
    SAMEER

  4. jaun hadder says:

    i like your stores but some time asa nahi hota.any female chating and friend shap too me i am agree . jaun600@yahoo.com
    is my id

  5. M.Awais says:

    What a love story .I REALLY LOVE U BOTHE DIL CHAHTA HA AP KO INAM DIA JAI .ALLAH NA B AP KI MADAD KI HA .MARI NAK DUA AP KAY SATH HAI

  6. ruhi says:

    your love story is sucessfull love story i slaute my friend

  7. samina khatoon says:

    pareshan ho gae mein padh padh ku…sab kaiku apne personal baatan idhar likhdal re…kya hai ye sab padhne ku bhi sharm aarii….

  8. shafid says:

    beshak ap sachi mohababt kerti ha or wo bhi ap se kertey ha tu ye numaishe lagney ki kia zarorat ha ….
    mohababt pak ha or isey pardey me rakhna behter ha .

  9. Gaurav says:

    kismat walon ko hi sacha pyar milta hai,Jinme aap bhi shamil hain.

  10. Kiran Khan says:

    simply lovely….

  11. Aqsa says:

    Vry nic………..

Leave a Reply