Diya Jalaey Rakhna

Home » Love Stories » Diya Jalaey Rakhna October 4, 2010 Love Stories

Mere shaadi Fahad say howe thee. Fahad meray maamu kay betay thay. Hum dono mukhtalif shehru aur subo main rehtay thay es liyay kuch khaas aatay jatay nahi thay aik dosray kay ghar. Main baeyah kay peya ghar hazaro armaan lay ker aaa gae thee. Suhaag raat ko Fahad ke romantic nay khoobsorat aur yaadgaar bana deya thaa. Waleemay kay foran baad hum dono honeymoon kay liyay shamaali alaaqajat ke tarf chalay gay.

Her raat ko Fahad meray saath beyshumaar romantic baatain kertay aur main shermaati rehti. Aesa lagta thaa kay un ko paa ker dunya ke her khushi paa le hai. Honeymoos say waapis aey tu ghar walo nay purtapaak estaqbaal keya. Aglay din say Fahad nay office jana shoro ker deya. Ghar main mere 2 nunday aur 1 daywur thaa. Un kay saath kuch he dinu main mere khoob dosti hu gae thee. Raatain Fahad ke baaho main un ke romantic baatain suntay aur din un kay behan baayou saath khushgapya kertay.

Aik din Fahad ko main nay office janay kay liyay jagaya tu woh kehnay lagay kay koun sa office? Main kissi office nahi jata. Sonay du mujhay aur tum be meray paas late jao. Main heraan thee aur kamray baahir chali gae. Baahir aaa ker main nay mamaani aur maamu ko Fahad ka yeh mazak bataya tu dono mujh say nazray chura rehay thay. Main nay kamray kay ander aaa ker Fahad ko dobara jagaaya tu woh phir tus say mus na howay aur soay rehay.

Phir raat ko woh romance he ker ray thay apni adat kay aen motaabiq. Phir aaglay din woh mujh say sara zewar yeh kaeh ker lay gay kay kul koe aur design dekha. Change ker kay laa ker deta hu. Raat kafi hu gae thee aur Fahad abhi taak lotay nahi thay. Raat gay jub woh ghar lotay tu un kay mou say tu sharab ke badboo aaa rahi thee. Main heraan thee. Zewar kay baray poacha tu kehnay lagay kay sub joway main haar gya aaj tu. Koe baat nahi agli dafa jeet ker aao ga. Meray tu pero talay zameen nikal gae thee un ke baat sun ker. Phir woh mujhay lay ker bed pay late gay aur pehli tarah mere tarefain kernay lagay. Phir kehnay lagay kay woh meray beghair rehnay ka tasawour be nahi ker saktay. Thoori daer main he woh su gay. Mere aankho say aanso baeh rehay thay. Aglay din aey tu sharab kay nashay main daat thay. Mujh say baat taak nahi ke aur so gay. Phir yeh roaz ka mamool bun gya.

Meray paas aab es kay sawa koe aur chara nahi thaa kay umeed kay diyay kay roshan kiyay rakhti aur Fahad kay rahay-e-raat pay aanay ka intazaar kerti. Shaadi kay 2 saal baad jub mere bete nay unhay pehli dafa “ daddy “ kaeh ker pukara tu unhu nay bete ko choom leya aur mujhay kehnay lagay kay kul say main nokri shoro ker du ga.

Random Posts

    Tags:

    Comments (17)

     

    1. NaJmI says:

      ChAbAl

    2. jana khan says:

      agar main enki jaga hoti tu kab ka chor deti but she was strong n hopeful that one day she will change him n i hope so she changed him

    3. muntazir says:

      love and betrayal

      muntazir-marasim.blogspot.com

    4. arshiya says:

      is this a love story bakwas hai

    5. arshiya says:

      is not a love story ye bakwas hai idiots

    6. Haseeb says:

      i dont think this is real..i dont say yeh hota nae hai yeh common hai n huwa bhi hoga but i dont think koi apni khani itni openly likhay!

    7. sara mehnaz says:

      i knwwwwwwwwwww…kitni besharam ho tum….apni personal batein idhar likhti ho…???aur koi kaam dhanda nahi hai kya…huh kahan kahan se aa jate hai log…!!ppl dis iz FAKE!!

    8. sara mehnaz says:

      nai rakhte diya jalaye……:P

    9. meher says:

      yea really i agree with u sara…na jana q bekar ki bakwas likhte baithte hain log…huhh

    10. ShaaM ALi says:

      Burai krne ki bijae h0sla afzai krte hain…gud effort g….
      ShaaM13
      Dear-Be-Near

    11. boy says:

      sahi ho ya galat wldne kep tryng

    12. irfan khan says:

      love is life
      love ke bina life adhori he jani ase liye love is life ok

    13. hameeda bibbo says:

      as slam o ale kum

      kun aaj ro rahe hei tery yaad mei sanaam
      tu lot ke naa ayegaa ye jante hei ham

      duniyaa ye duniyaa he, zalim badi sanam
      dunia ke aage chali he dil ki khaan qalaam

      tum bhul jaao mujh ko mei bhi tum hei bhulaa du
      duniyaa ko he gar panaa ye wadaa karei sanam

      tu door he ya paas, dil mein mere rahegaa
      hei tera mera rishtaa jo paak ye sanaam

      apna khyaal rakhna
      allah hafiz
      writen by hameeda..ameer

    14. hameeda bibbo says:

      as slam o alekum

      ye baat sach he, tu maan aaj mere sanam na
      naa miltaa tu to adhuri thi zindgi ye sanaam

      tu mila he to mili he mujhe duniya ki khushi
      tery banhoo mei, simat aai he, duniya o sanaam

      pyaar miljaye teraa rab se duaa karte the
      ab na chahu mei, badle mei mile, zamane ye sanam

      teraa damaan hei to duniyaa ki na, chahat mujh ko
      tere to zulm bhi lagte mujhe pyaare hei sanaam

      naa tujhe ko chahaa kabhi kisi ne itnaa, o mere sanaam
      phunch ke dekhle tu apne dil se, aaj mere sanaam

      bibbo karty rahi taa umr tanhaa intzaar teraa
      jab kahi jake aaj tu milaa he, mujh ko sanaam

      apna khyal rakhna
      allah hafiz
      writen by h bibbi ameer

    15. nikhil says:

      akhir pyaar ne dhokha de diya na

    Leave a Reply