Anokhi Love Story
Home » Love Stories » Anokhi Love Story February 14, 2010 Love Stories
salam to all
ye aik true story hai.aik larka aur larki mohabbat kertay thay aik doosray say.
larkay nay propose kiya usay apnay parents k through to us larki k parents nay inkaar ker diya.larka bohat upset tha.bohat udas hua k ye kiya hogaya
us nay doobara bhijwaya aur phir yehi jawab mila.us nay larki say kaha k tum koi step lo ye kiyun inkaar ker rahay hain tumharay parents.us nay aagay say kiya jawab diya k main kiya ker sakti hoon.mein apnay waldein k khilaaf kesay ja sakti hoon.un ki izzat ka masla hai.jahan wo kahein gay main wahan khush hoon.
us larkay na usay kaha main khudkashi kerloon ga main tumharay bagher nahin reh sakta.us k baad wo larki us ka koi msg rcv nahin ket thi matlab taluq khatam ker liya.
aur aik din us nay wo 24 yrs ka tha khudkashi ker li.
mujhay us larki say ye ikhtalaf tha k ager usay itna izzat ka khayal tha to pehlay kiyun us ko mohabbat ki patti parai aur dhokay mein rakha
us wqt izzat ka kahayal nahin aaya.aur jab ker hee chuki thi to usay chaiye tha k parents ko raazi kerti aur usay yaqeen dilati k usi k saath hai
ap kiya kehtay hain is baray mein
Related Love Stuff
Comments (3)





g haan bilkul aap sahi kehrahe ho wo ladki ne bht galat kiya ………
Us ladki ne sachcha pyaar kiya hi nahi…..wo sirf timepass kar rahi thi….wo ladki ne bohot hi galat kiya!!!!
dear ye ek sachi prem kahani ha
mein apna hi dost ka bhai ki sadi (08/08/2009) mein gaya wha par mane ek lakdi (priyanka) ko dekha toh uski aanko mein ek kasis se thi or na jane mujhe kya hua mein bas use hi dekta raha or wo bhi mujhe hi dekti rahi dono mein pyar sa ho gaya pyar bhi bhut gahara phir humare pass time hi kaha tha kafi deer milne ka liya phir jane ka time aya toh usne mera mobile No. manga or mane uska toh dono ne ek dusra ka number de diya lakin ne jane kyu uska phone nhi aya or mane phone milaya toh uska bhai ka phone tha. phir one month ka bad uska phone achanak mare phone par aya or kaha ki mare abhi exam chal raha he mein tumse kuch din bad phone pe bat karungi lakin uske bad uska na hi koi phone aya or na hi uska koi message aya. uska bad toh jase mein toot sa gaya hu.
“BANANE WALE TUNE DIL BANAYA KYU HA
BANAYA HA TOH WO DHADAKTA KYU HA
DHADAKTA HA TOH KISI KE LIYA BHATAKTA KYU HA
BHATAKTA HA TOH KOI MIL KYU JATA HA
KOI MIL JATA HA TOH USSE PYAR KYU HO JATA HA
PYAR HO JATA HA TOH WO DIL MEIN SAMA KYU JATA HA
DIL MEIN SAMA JATA HA TOH WO DIL TOD KYU DETA HA
DIL TOOT JATA HA TOH ANKO SE ANSU KYU ATE HA
ANSU ATE HA TOH SAB KUCH KHATAM KYU HO JATA HA”