Urdu Love Shayari
Urdu Love Shayari and Love Urdu Shayari is available here for you, Love Urdu or Urdu Love are the keyword used to search Urdu Love Shayri and Urdu Love Poetry. You can find lots of Urdu Love Shayari and Love Urdu Poetry.
urdu love, love urdu, love shayari, love urdu shayari, urdu love shayari, urdu love poetry, love poetry urdu, urdu love shayari, urdu love shayri
tumhaare Khat mein nayaa ik salaam kis kaa thaa
na thaa raqiib to aaKhir vo naam kis kaa thaa
vo qatl kar ke har kisii se puuchhate hain
ye kaam kis ne kiyaa hai ye kaam kis kaa thaa
vafaa karenge nibhaayenge baat maanenge
tumhen bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
rahaa na dil mein vo be-dard aur dard rahaa
muqiim kaun huaa hai maqaam kis kaa thaa
na puuchh-paachh thii kisii kii na aav-bhagat
tumhaarii bazm mein kal ehatamaam kis kaa thaa
hamaare Khat ke to purze kiye parrhaa bhii nahiin
suna jo tum ne baa-dil vo payaam kis kaa thaa
inhiin sifaat se hotaa hai aadamii mashahuur
jo lutf aap hii karte to naam kis kaa thaa
guzar gayaa vo zamaanaa kahen to kis se kahen
Khayaal mere dil ko subah-o-shaam kis kaa thaa .............
Copyright © 2009 Deewanapan.com All Rights Reserved.