Nasha hai unki aankhon ka

Home » Love Shayari » Nasha hai unki aankhon ka December 20, 2009 Love Shayari

Nasha hai unki aankhon ka pine ka bahana karte hain

Marne ki tamanna hai unpar jine ka bahana karte hain

dekh ke mera jakham-e-jigar, wo chain ki sanse lete hain

Chhai hai khushi unke dil main, gam ka bahana karte hain

Un ke mehfil ka aalam yaron mat poochho kya kahna

Dil kahta hai kuchh rukne ki, ka bahana karte hain

Aashiq tera koi ghar hai na dar, Ye soch ke wo mud jate hain

Rakhne ke liye bas dil tera, Aane ka bahana karte hain.

Random Posts

    Tags:

    Leave a Reply