Meray Khuwab Meray Sapnay

Home » Love Shayari » Meray Khuwab Meray Sapnay December 24, 2009 Love Shayari

Meray Khuwab Meray Sapnay

Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain
Meray Baad Enhay Yaad Karay Ga Kaun

Meri Chahaat Ban Jaie Gi Afsana
Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meray Tak Hain Yeh Tamam Sunder Nazaray
Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun

Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay
Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana
Meri Wafayon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay
Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan
Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri
Tum Hee Na Ho Gaye Tuo Yaad Karay Ga Kaun

Aa Kay Es Saath Ko Yaadgar Bana Lien
Kal Kiya Pata Es Yaad Ko Yaad Karay Ga Kaun

Related Love Stuff

Tags: , , ,

Leave a Reply