Ek soch

Home » Love Shayari » Ek soch January 7, 2010 Love Shayari

Apni aadao se yun churana,
Pagal banana dewana banana,

Nazro mein rakhkar palke uthana,
Apni wafao ka aashiq banana,

Sambhalna woh daman woh paloo bachana,
Ajab ishq mein hai ye dil ko lubhana,

Milakar nazar se nazar dil mein rakh kar,
Aata hai khoob aapko dil ko churana,

Rakhkar wajood mein dil se ghuzar kar,
Roz apne haatho se dil ko jalana,

Banna sawarna woh khushboo lagana,
Phir har ek insan ki nazar mein aana,

Tadpana hasana rula ke jalana,
Andaz har zamane ka mujhko batana,

Paree bankar mere khawabo mein aana,
Phir raat bhar tere baho mein lamhe bitana,

“Humari” zindagi mein aakar kar do ek chirag roshan,
Ke seh nahi sakta ab main woh ghuzra zamana..!!!

Love Shayari, Romantic Love Shayari, Love Poetry, Urdu Love Shayari, Hindi Love Shayari, Romantic Love Poetry, Urdu Love Poetry, Love Shayari Sms

Related Love Stuff

Tags: , , ,

Leave a Reply