Raqs karne ka bahana chahta hoon
Home » Love Poems » Raqs karne ka bahana chahta hoon January 7, 2010 Love Poems
apnay honton pe sajana chahta hoon…
aa..!! tujhe main gungunana chahta hoon
koi ansoo tere daman per girra kar …
boond ko mouti banana chahta hoon
barh gai is hadh tak bay-aitmadi
tujh ko tujh se chupana chahta hoon
thak gya main karte karte yaad tujhe
ab tuhe main yaad aana chahta hoon
is liye ki hai tarapne ki tamanna
raqs karne ka bahana chahta hoon
aakhri hichki tere zaano pe aaye
mout bhi main shairana chahta hoon
jo bana baaes meri nakamion ka
main usee ke kaam aana chahta hoon
chah raha hai sari basti per andhera
roshni ko ghar bulana chahta hoon
phool se paykar to niklay bay-murawwat
patharon ko aazmana chahta hoon
reh gai thi kuch kamee ruswaaion main
phir main is darr pe jana chahta hoon
Love Poems, Romantic Love Poems, Urdu Love Poems, Hindi Love Poems, I Love You Poems, Cute Love Poems, Sweet Love Poems, Touching Love Poems
